Sunday, February 14, 2010

Lauta de

Dekhe the kuch barson pehle,
choti si chat pe.
khule aasman mein tim timate,
lauta de mujhe.
jo jo giney the unglion pe saare.

Daude the khuley maidan mein,
dekh wo boondein tapakti.
lauta de mujhe,
uskey baad dekhe jo bhi rang saare.

Khulti thi ankhein,
sun ke wo chehchahana,
lauta de mujhe,
wo panchiyon ka meri munder pe aana.

Khayi thi jhunti,
kuch mithi kuch kadwi.
lauta de wo nimbori,
wo unka upar se imliyan girana.

Bhaage the laathi ke dar se,
lautte the unko thakane.
lauta de mujhe,
wo chrori ke ambiya khana.

Lauta de mujhe wo bachpan,
Lauta de wo gujra zamana.

Monday, April 16, 2007

Untitled

zarra zarra kar do zareen
zar si kar do ye zameen
lag jao purjosh se
dur ab manzil nahi

aadi tirchi hai kahin
hai kahin kaaton bhari
aao bana lo humsafar
raahen nahi hai ye nayi

raah mein doorie nahin
sirf ho unchayi hi
poori kar is raah ko
chu lo aasman bhi

lag jao purjosh se
dur ab manzil nahi

Wednesday, April 11, 2007

Yun Hota Toh Kya Hota

Dil hamara chaand sa hota
Dhadakta nahi roshni deta

Dard hai kahin
Baat ye bhi na hoti
Pyaar nahi
Jahan mein Sirf
chaandni hoti

Aasman mai jaise taare
Waise zameen pe hote chaand saare
Toh suraj ki tapan ka
ahsaas na hota

Kaali andhyaari raat bhi
Dekh itna ujaala
Khud hi utha leti
Apna uthaala

Jahan bhi hote ikhatte
Mashaal se hi dikhte
Le is mashaal ko mein
Duniya ko roshan banata

Dil hamara chaand sa hota
Dhadakta nahi roshni deta